SWAYAM KO BADLO DUNIYA SWATH BADAL JAYEGI


SWAYAM KO BADLO DUNIYA SWATAH BADAL JAYEGI



“Swayam ko badlo duniya swatah badal jayegi” uparyukt shirshak shat pratishat satya aur sarthak hai. Yadi hum duniya badalne ka madda rakhte hain toh shuruwat humein khud apne aap se karni chahiye. Hum khud ko badalkar duniya ko apne anusar badalne ki koshish kar sakte hain.



Duniya waise logon ki hi kadra karti hai jo khud is yogya hote hain ki unka anusharan kiya ja sake jaise Meel ka Pathar hazaron logon ko disha ka gyan karata hai aur rashta batata hai. Sadiyon se log waise logon ka hi anugaman karte aayee hai, jisne apne gyan koushal aur tez se duniya ko apne aage nat-mashtak karaya hai.



Itihas sakshi hai ki un maha yogiyon aur samraton ko duniya maanti aayee hai jinhone apne gyan, pratibha aur koushal ka loha pure duniya mein manwaya hai. Aage hum aise hi kuch logon ki charcha karenge jinhone pure sansar ko achambhit karne ka kaam kiya:-



i)                   Eklavya : Woh ek sadharan balak tha jo Guru Shiromani se Dhanurvidya ki sikha ki abhilasha rakhta tha, lekin Guru Dron dwara ye kahne par ki woh kewal rajkul ke logon ko hi sikha de sakte hain, Eklavya lout aaya aur Guru Dron ki pratima banakar khud abhyas karma prarambh kar diya. Ek din sahsha Guru Dron achambhit ho gaye jab kouranvo k eek kutte ke munkh ko baanon se band paya. Jab unhen ye pata chala ki Eklavya unki pratima se hi swayam dhanurvidya sikh raha hai toh woh Eklavya se prabhavit ho uthe. Arjun ne jab Dron se keha ki Arjun se  bada dhanurdhar toh Eklavya hai, ishpar Dron ne Guru Dakshina k roop mein Eklavya se ushka angutha maang liya. Eklavya ne bina kuch bole apna angutha kaat kar hazir kar diya. Ush din se Eklavya ki Guru Bhakti mishal ban gayi hai.

ii)                Chandragupta Mourya : Chandragupta atyant nirdhar pariwar se sambandh rakhta tha. Lekin jab Chanakya ki nazar un par padi toh ushka margdarshan kiya aur bhavishya mein woh Patliputra sahit pure bharat ka Chakrawarti Shamrat ban baitha.

iii)              Maharshi Balmiki : Inhone Ramayan ki rachna ki thi. Lekin pahle woh ek khatarnak daku ke roop mein jaane jaate the lekin inhone gyan prapt hone par khud ko badla aur Amar Kavya Ramayan ki rachna kar daali aur apna naam itihas ke pannon mein amar kar diya.

iv)              Jalaluddin Akbar : Akbar ne matra 8 warsha k mamuli umra mein bharat par aakraman kiya tha aur Delhi ko jeet kar saabit kar diya ki “Jehan Chaah Wehan Raah”. Usne Hinduwon ki nabz to samjha aur vaivahik, kutnitik aur bhaichare ke madhyam se sabhi dharm ke logon ko saath milane ka prayash kiya. Yahi kaaran tha ki woh apne karyakal mein ek lokpriya samrat ke roop mein vikhyat raha. Aaj bhi hum Akbar ke kiye kaamon ki prashansha karte hain.

v)                 Pritiwiraj Chouhan : Prithwiraj Chouhan ko antim hindu samrat maana jaata hai. Inhone marte dam tak Mummad Gori aur Jaichand ki shena ka shamna kiya tha. Apne veerta aur koushal ke kaaran hum aaj bhi inka naam bade samman se lete hain.

vi)              Mohandas Karamchand Gandhi : Gandhiji ne apne karyon se ek naye yug ki shuruwat ki thi. Satya aur Ahimsha ko pahli baar ek ashtra ke roop mein inhone hi prayog kiya aur ishka hi parinaam hai ki aaj bhi jab bhi kahin Satya aur Abhimsha athwa Satyagrah ki charcha hoti hai Mahatma Gandhi ka naam anayas hi mookh par aa jata hai. Inke prayas ka hi parinaam tha ki angrejon ko bharat chod kar jaana pada.

vii)            Rudolph Hitler : Woh ek sadharan sainik tha, lekin apne kootniti aur chamta ke kaaran ishne Germany ko apne anushar ghumaya. Germany mein najiwad laya. Germany ka shashak bankar ishne America, England aur anek deshon ke daant khatte kar diye the. Aaj bhi jab bhi tanashahi ki baat hoti hai Hitler ki yaad aa hi jaati hai.

viii)         Alexander Sikandar : Sikander jisne bachpan mein bharat ke sone ki chiriya hone ki kehani suni thi woh poori duniya jitne ki tamanna rakhta tha. Who pahla wyakti tha jisne poore duniya ko jitne ki koshis kit hi. Aaj bhi jeet ki baat ke saath Sikandar ka naam joda jaata hai.

ix)              Sir Aaizaec Newton : Inhone hi sabse pahle bataya ki prithwi surya ke ird gird ghudmti hai, ush samay koi unki baat nahi maana lekin aaj poori duniya unke buddhi samarthya ka loha maanti hai. Unke dwara diye ge vaigyanik niyamon ki kaat aaj tak nahi mil payi hai.

x)                 Rajnikant : Rajnikant ne ek bus conductor se Superstar tak ka safar kayam kiya. Unhone apne mehanat se sabse bade superstar hone ka tamga haasil kar liya hai.



In jaise hazaron naam hai jinhone khud ko badla toh unki duniya toh badal hi gayi lekin saath hi saath hazaron logon ki jindagi badal gayi.



Atah aaj hum yuwaon ko pran karna chahiye ki hum sabse pahle khud ko badalne ki koshish karenge kyonki hum khud ko badalkar arthat buraiyon se door jaakar desh aur samaaj ki tarakki mein apna yogdan se sakte hain. Aaj desh ki sabse badi samasya bhrashtachar hai aur Anna Hazare ne inse ladne ki pahal ki hai. Lekin ye ladai unki akele ki nahi hai. Hum yadi duniya badalna chahte hain toh sabse pahle khud mein jhank kar dekhen aur khud ki buraiyon ko door Karen. Yadi har aadmi aisa sochne lage toh desh phir se Sone Ki Chiriya ho jayega aur humein kisi Jan Lokpal Bill jaise kanoon ki jaroorat nahi padegi. Na toh desh mein atankwad hoga, na koi bhukha hoga aur na hatya aur dakaiti jaisi ghatnayen sunai degi. Log chain se aur garv se kah sakenge ki who ek insaan hain aur unki insaniyat jaag uthi hai. Sarvatra shanti aur smridhi ka aalam hoga.

Words : 967

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

विद्या सबसे बड़ा धन है ।

विद्यालय का वार्षिकोत्सव

साँच बराबर तप नहीं, न झूठ बराबर पाप ?